phir usi shokh ki taswir utar aai hai mere ashaar mein muzmar meri ruswai hai dekhne deta nahin dur talak dil ka ghubar jis se miliye wo khud apna hi tamashai hai shahr mein niklo to hangama ki har zat ho gum zat mein utro to ek aalam-e-tanhai hai zakhm har sang hai us dast-e-hina ka ham-rang khub us shokh ka andaz-e-pazirai hai dil ne jab bhi koi sada si tamanna ki hai zindagi ek naya zakhm laga lai hai chaak dil lakh sahi chaak gareban bhi karo iltifat us ka ba-andaza-e-ruswai hai