is baat ka malal nahin hai ki dil gaya main us ko dekhta hun jo badle mein mil gaya jo husn tu ne shakl ko bakhsha wo bol utha jo rang tu ne phul mein dala wo khil gaya nakaami-e-wafa ka namuna hai zindagi kuche mein tere jo koi aaya khajil gaya qismat ke phodne ko koi aur dar na tha qasid makan-e-ghair ke kyun muttasil gaya mujh ko mita ke kaun sa arman tera mita mujh ko mila ke khak mein kya khak mil gaya 'muztar' main un ke ishq mein be-maut mar gaya ab kya bataun jaan gai hai ki dil gaya