phir uske baad badan tha na jaan jaan mein thi

phir us ke baad badan tha na jaan jaan mein thi
ajab chadhai meri umr ki dhalan mein thi

tumhaara aks mere aansuon mein raushan tha
tumhaari shakl bhi har waqt mere dhyan mein thi

tamam umr ganwa di talash mein us ki
jo ek shai na meri thi na is jahan mein thi

mujhe bayan bhi karti thin dusri aankhen
meri zaban bhi shayad kisi zaban mein thi

wo dhundhta tha jahan par wahan nahin tha main
meri kahani kisi aur dastan mein thi

tanab-e-ishq tere hath hi se chhuti hai
tu ek umr se mashghul khinch-tan mein thi

hamare pairon se khiski hui zamin 'fayyaz'
utar lae use hum jo aasman mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close