rakh li mathe pe shikan uski nishani jaise

rakh li mathe pe shikan us ki nishani jaise
nae ghar mein ho rakhi chiz purani jaise

aise bhuli hai meri aankh hunar rone ka
kisi jharne se bichhad jae rawani jaise

teri aankhon se bhala kaise hataun aankhen
mujh pe khulte hi nahin in ke maani jaise

aaina kahne laga kuchh kami tujh mein bhi hai
hum ne bhi puchh dhara us se ki yani jaise

wo kisi sher mein dhal jae ghanimat warna
us ko tafsil se likkhunga kahani jaise

hum tere hijr mein sahra ki taraf kyon bhagen
hum ne sikhi hi nahin khak udani jaise

main ne har roz tujhe dil se nikala to magar
kisi dariya se nikale koi pani jaise

kya bura hai ki jo baatin hai wahi zahir hai
hum ko aati hi nahin baat banani jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close