phir wahi baam-o-dar ki taswiren ghar ke bahar bhi ghar ki taswiren ye hamara kamal hai warna kaun khinche hai dar ki taswiren kya koi jang hone wali hai khwab mein thin sipar ki taswiren baithe baithe bana raha hun main udti udti khabar ki taswiren khushk aankhon se main ne khinchi hain ek sukhe shajar ki taswiren ek naya zawiya talash mein hai dekh len har nazar ki taswiren dil ke hujre mein tang rakkhi hai 'mir' 'ghaalib' 'jigar' ki taswiren aap gar khinch len to main manun is taraf se udhar ki taswiren