musibat ka ye lamha katna hai mujhe auron se achchha katna hai daranti fikr ki paini karunga mujhe misre ko thoda katna hai abhi maidan se bahar na honge hamein kuchh din to jalwa katna hai ghanim-e-mulk se jitenge hum hi zara ek aadh dasta katna hai bichhad kar us se zinda hun abhi tak aziyyat ka ye waqfa katna hai amal ke nit-nae teshe bana kar mujhe qismat ka likkha katna hai bura to kat lenge waqt tanha tumhaare sath achchha katna hai main us se muskura kar hi milunga khushi se aaj ghussa katna hai ana ki tegh ko kuchh tez kar lo faqiro tum ko rutba katna hai hamara ishq ho paya na kaamil so ab auron ka patta katna hai