phir wahi karb-e-guzarish wahi mansha apna

phir wahi karb-e-guzarish wahi mansha apna
koi izhaar ki surat na taqaza apna

chehra-dar-chehra liye apne kiye ke tewar
jaane kis soch mein gum-sum tha masiha apna

aankhon aankhon ke ye zine ye talluq ki bisat
dil hi ilham hai aur dil hi sahifa apna

is mafajat-o-mukafat ke mamure mein
farz ya arz-e-munajat hai hissa apna

aks-dar-aks ki ek tarfa kashakash ka asir
maskh tha aaina-khane mein sarapa apna

be-tanabi bhi bagule bhi kashakash bhi wahi
kya hua dasht-e-tamanna mein bhi khema apna

khidmat-e-khalq ka aise mein tasawwur bhi kya
log sab kuchh hain sanbhaale hue apna apna

be-tuki baat hai ud jaegi be-par 'rahi'
tum ne likkha hai hawaon pe fasana apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close