phir wahi reg-e-bayaban ka hai manzar aur hum phir muqabil mein hai ek zalim ka lashkar aur hum raat ko pichhle pahar koi bulata hai hamein aur lipat kar roz so jate hain chadar aur hum zakhm-e-sar ki dastan ab yaad bhi aati nahin aashna the kis qadar pahle ye patthar aur hum ab to ek muddat se hain diwar-o-dar ki qaid mein sath rahte the kabhi sahra samundar aur hum sirf bachchon ki mohabbat mein ye ruswai hui warna sahil par banate ret ka ghar aur hum rahgiron ne hamein pahchan kar sikke diye hath phailae khade the jab sikandar aur hum ye haweli bhi kabhi aabaad to hogi magar ab yahan muddat se rahte hain kabutar aur hum rahnumai ke liye koi sitara bhej de kab talak bhatkenge yunhi khak-bar-sar aur hum