phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge mit bhi jaenge to hum ek dastan ho jaenge main ne tere sath jo lamhe guzare the kabhi aane wale mausamon mein titliyan ho jaenge kya khabar kis samt ye pagal hawa le jaegi jab purane kashtiyon ke baadban ho jaenge yaad aaegi unhen kya kya hamari be-hisi jab hamare ahd ke bachche jawan ho jaenge mere naghme meri khatir kuchh bhi hon 'wali' magar aag barsati ruton mein badliyan ho jaenge