phir wahi shakhs mere khwab mein aaya hoga nind mein us ne hi aankhon ko rulaya hoga is amawas mein bhi mahtab uga hai yani us ne ungli se kahin chand banaya hoga main hi ab us ko samajh sakta hun us ko main ne yaad karte hue kis taur bhulaya hoga ek muddat se hun tanhai-shuda kam-az-kam phir abhi kis ne mere dil ko dukhaya hoga thak gaya hoga so dahshat mein hain sare panchhi aasman jis ne ye kandhon pe uthaya hoga wo khushi tum ne mohabbat mein ganwai hogi tum ne ye dukh bhi mohabbat mein ganwaya hoga muddaten ho gain tanqid nahin karte log kis ne aainon ko aaina dikhaya hoga