phir wahi tajdid-e-mausam ho gai wo lahu barsa zamin nam ho gai barg-o-gul ke jism nile pad gae bagh ki taza hawa sam ho gai kya kaha mauj-e-hawa ne sham se lau charaghon ki jo maddham ho gai kya khabar kis soch mein duba hai chand baam-o-dar ki raushni kam ho gai ishq ka maidan khali ho gaya shauq ki talwar be-dam ho gai aasman se rifaten nazil huin jab jabin insan ki kham ho gai ye hawa-e-sard ki lahren 'ayaz' aansuon ki bund shabnam ho gai