teri talash mein bhatka hun dar-ba-dar jaanan main tujh ko bhul na paunga umr bhar jaanan nahin hai tujh se kisi taur bhi mafar jaanan hai tu hi qatil-e-dil tu hi chaaragar jaanan meri talash meri aarzu meri chahat tera jamal tera qurb-e-mo'atabar jaanan ye aankhen tere hi jalwon ki hain amin be-shak ye dil hai teri mohabbat ka mustaqar jaanan nazar mein tu hai khayalon mein tu hai dil mein tu main kab hua teri jaanib se be-khabar jaanan teri hi yaad ne mahkae meri ruh mein zakhm tere sabab se hai khushbu ka ye safar jaanan hasin yaadon ka ek silsila tha tut gaya faza mein gunja jab aawaza-e-gajar jaanan