phir yaad use karne ki fursat nikal aai mat puchhiye kis mod pe qismat nikal aai kuchh in dinon dil us ka dukha hai to hamein bhi us shakhs se milne ki sahulat nikal aai aabaad hue jab se un aankhon ke kinare duniya jise samjhe the wo jannat nikal aai jo khwab ki dahliz talak bhi nahin aaya aaj us se mulaqat ki surat nikal aai ab aa ke gale milta hai pahle tha gurezan kya hum se use koi zarurat nikal aai ek shakhs ki mahbub-nigahi ke sabab se 'ashfaq' tumhaari bhi to qamat nikal aai