ye kar-e-be-samran mujh se hone wala nahin main zindagi ko bahut der dhone wala nahin main sath-e-ab pe ek tairta hua lasha mujhe koi bhi samundar dubone wala nahin bade jatan se mila hai ye apna aap mujhe main ab kisi ke liye khud ko khone wala nahin fasil-e-shahr tera aakhiri muhafiz hun ye shahr jage na jage main sone wala nahin wo ek tu ki tere gham mein ek jahan roe wo ek main ki mera koi rone wala nahin kisi ko phul na de paun main agar 'shahbaz' kisi ki ruh mein kante chubhone wala nahin