phir yaadon ka mausam aaya kai baras ke baad jaane kyon darpan sharmaya kai baras ke baad dil se kitna dur raha tha sukh sapnon ka ganw aankhon mein sapna ankraya kai baras ke baad mithi mithi khushbu wali sansen aati hain bagiya ne mahuwa tapkaya kai baras ke baad tez dhup mein tapti rahen pyas thi nange panw nainon ne amrit barsaya kai baras ke baad sanson mein bela mahka aur baalon mein juhi jaise koi pahun aaya kai baras ke baad aam ki chatni dhuli dal aur roti garm garm aman ne chulha sulgaya kai baras ke baad