yun lag raha hai jaise guman TuTne ko hai

yun lag raha hai jaise guman tutne ko hai
yani haqiqaton ka jahan tutne ko hai

khwab-o-khayal-o-fikr ki ranaiyan liye
kaghaz pe mera harf-e-bayan tutne ko hai

jab is ke baad daimi ek ghar hai muntazir
kya gham jo aarzi sa makan tutne ko hai

jo faisla hua hai adalat mein haq taraf
hairan aql hai ye zaban tutne ko hai

padh kar jadid shairi ye faeda hua
uslub apna apna bayan tutne ko hai

dekho kinare apne sambhaale raho miyan
jari jo hai ye sail-e-rawan tutne ko hai

ab kaun hoga apne nishane ki zad pe yan
ab tir kya karenge kaman tutne ko hai

ab us ko aise chhodna achchha nahin miyan
kuchh ho khayal pir-e-mughan tutne ko hai

bardasht ki bhi koi to had hoti hai 'obaid'
ab is se aage band-e-fughan tutne ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close