phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujh ko ek zara qaid se bahar to nikalo mujh ko is haqiqat ki bhi aamad ho mere hujre mein chhod ke jao kabhi khwabo khayalo mujh ko jism ko dard mein hansne ka hunar aata hai iltija ye hai ki patthar mein na dhaalo mujh ko main ne pabandi laga di hai zaban par warna muddaa chikh raha hai ki uchhaalo mujh ko tab talak kuza-garo khwab hai tabir meri jab talak puri tarah tod na dalo mujh ko mawara hun main har ek lafz-e-sukhan se jo mujhe tum ko padhna hai to phir soch mein dhaalo mujh ko lo main karta hun meri khak tumhaare hi sipurd jaisi darkar ho waisa hi bana lo mujh ko pahle malbe ko mere saf karo upar se phir meri khak ke niche se nikalo mujh ko aankhen neze pe tike dekh ke apni 'nayab' bol uthe khwab bhi ab to ki na palo mujh ko