pyar mein us ne to danista mujhe khoya tha jaane kyun phir wo akele mein bahut roya tha us ko bhi nind nahin aai bichhad kar mujh se aakhiri bar wo banhon mein meri soya tha mere ashkon mein raha wo bhi barabar ka sharik main ne ye bojh akele hi nahin dhoya tha raat bhar tujh ko sunata raha mera qissa raat bhar chand dariche mein tere goya tha phul nafrat ke uge hain to tajjub kaisa tum ne ulfat ka koi bij kahan boya tha khat pe tapke hue aansu ye batate hain 'shakil' meri tahrir ko barish ne nahin dhoya tha