phire rah se wo yahan aate aate

phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate
na jaana ki duniya se jata hai koi
bahut der ki mehrban aate aate
suna hai ki aata hai sar nama-bar ka
kahan rah gaya armughan aate aate
yaqin hai ki ho jae aakhir ko sachchi
mere munh mein teri zaban aate aate
sunane ke qabil jo thi baat un ko
wahi rah gai darmiyan aate aate
mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate
abhi sin hi kya hai jo bebakiyan hon
unhen aaengi shokhiyan aate aate
kaleja mere munh ko aaega ek din
yunhi lab par aah-o-fughan aate aate
chale aate hain dil mein arman lakhon
makan bhar gaya mehman aate aate
natija na nikla thake sab payami
wahan jate jate yahan aate aate
tumhaara hi mushtaq-e-didar hoga
gaya jaan se ek jawan aate aate
teri aankh phirte hi kaisa phira hai
meri rah par aasman aate aate
pada hai bada pech phir dil-lagi mein
tabiat ruki hai jahan aate aate
mere aashiyan ke to the chaar tinke
chaman ud gaya aandhiyan aate aate
kisi ne kuchh un ko ubhaara to hota
na aate na aate yahan aate aate
qayamat bhi aati thi hamrah us ke
magar rah gai ham-inan aate aate
bana hai hamesha ye dil bagh o sahra
bahaar aate aate khizan aate aate
nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate
This is a great shayari on eyes kajal. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close