phir wo be-samt udanon ki kahani sun kar so gaya ped parindon ki kahani sun kar kya yahi khwab ki tabir hua karti hai ud gai nind bhi aankhon ki kahani sun kar aable aise kabhi phut kar na roe the jis tarah roe hain kanton ki kahani sun kar hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar dard ki had se guzar kar to yahi hona tha aankh pathra gai ashkon ki kahani sun kar kashtiyan laut to aai hain magar ek sahil soch mein duba hai maujon ki kahani sun kar tum ne to sirf bahaaron mein unhen dekha hai tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar sare kirdar siyane the magar jhute the log hairan the bachchon ki kahani sun kar kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko nind aa jati thi pariyon ki kahani sun kar un ko malum tha chehron ki haqiqat kya hai chup rahe aaine chehron ki kahani sun kar