phirte rahe azal se abad tak udas hum

phirte rahe azal se abad tak udas hum
aae na inqilab-e-zamana ko ras hum

dekhenge chhu ke surkh badan aaftab ka
tabdil kar chuke hain khala ka libas hum

ye zindagi to khun-e-jigar pi gai tamam
kaise bujhaen sukhe samundar ki pyas hum

shahr-e-junun ki dhup jala degi jism-o-jaan
chaliye chalen ghanere chanaron ke pas hum

pur-nur hai hamin se kharaba hayat ka
raaton ka rang tum ho ujalon ki aas hum

amrit sharab zahr aji kuchh to daliye
aae hain le ke dur se khali gilass hum

jab se bichhad gai teri khana-ba-dosh yaad
ai 'prem' sune ghar ki tarah hain udas hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close