phul achchha nahin lagta hai chaman se bahar

phul achchha nahin lagta hai chaman se bahar
bad-nasibi hamein le aai watan se bahar

ek bhi shakhs agar ho to bata do mujh ko
kaun is daur mein hai ranj-o-mehan se bahar

zar-parasto kabhi socha bhi hai ki kyon aakhir
hath rakkhe the sikandar ke kafan se bahar

chand sikke nahin milti hai aziyyat phir bhi
log aksar chale jate hain watan se bahar

ab ye basti bhi hui jati hai viran 'atish'
sochta hun ki nikal jaun badan se bahar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close