hasin rukh pe abhi tum naqab rahne do na kholo band ghazal ki kitab rahne do uthunga dekhna ek din main aandhiyon ki tarah abhi karo na sawal-o-jawab rahne do hum apna farz kisi roz bhul baithen na hamare kandhon pe kumbe ka dab rahne do har ek chiz ki mujh mein tamiz hai bhai tum apne pas azab-o-sawab rahne do main apni pyas ko sahra-naward kar dunga mita do sare samundar sarab rahne do tumhaare waste saya azab hai 'atish' tum apne sar pe khada aaftab rahne do