phul chehra aansuon se dho gae aae the hansne chaman mein ro gae dil ye ujda hai ki un ki yaad ko muddaten guzrin zamane ho gae kis liye mahfil mein itni barhami hum chale jate hain uth kar lo gae jab chalenge katne kal fasl ko tab khulega aaj kya kya bo gae koi thahra hai kisi ke waste kah rahe the jaenge hum so gae dhundte kya gosha-e-maqsud ko rah ki ranginiyon mein kho gae kis liye aae the yan taqdir mein bojh dhona jism ka tha dho gae chhodna mumkin na tha stage ko rol apna karte karte so gae tin sathi ja rahe the sath sath ek baqi rah gaya hai do gae kya yahi hai dar-e-fani ki kashish phir na laute us taraf ko jo gae kar raha hai ek jahan jin ka tawaf but-kade mein kis ke darshan ko gae aap aazurda hue 'hamid' khafa lijiye donon barabar ho gae