sine ka ab tak hai zakhm aala miyan hai ani mizhgan ki ya bhaala miyan kis zamane ki ye dushman thi meri is mohabbat ka ho munh kala miyan ishq mein tere lute sab durr-e-ashk aisi war-kharchi ne ghar ghaala miyan jo bisat apni mein tha hosh-o-khirad jhoka jholi mein tere lala miyan ishq ke zewar ko aansu mat kaho motiyon ki hai ye gul-mala miyan khol pat ghunghat ka dikhlaya jamal mere tale ka khula tala miyan sarw-e-baala ko tere to dekh kar ho gai duniya tah-o-baala miyan neki meri aur badi apni ko jaan sab badi ko apni to dhaala miyan tala, baala 'azfari' ko de gae kan ka apne dikha baala miyan