phul chiKH uThte hain patton pe nami bolti hai

phul chikh uthte hain patton pe nami bolti hai
bel ke pinjre se jab shakh hari bolti hai

meri wusat mere izhaar ke aade aai
mujh samundar se ziyaada to nadi bolti hai

main to chidiya ko hi bulbul ki jagah likkhunga
ki mere ghar mein to din-raat yahi bolti hai

din mera job ki bak-bak mein guzar jata hai
aur shab-bhar ye kalai ki ghadi bolti hai

ai khile phul ke shaidai tujhe ilm nahin
kitne zu-mani tariqe se kali bolti hai

aankh walo yun meri khak tamasha na karo
sunne walo ye meri tez-rawi bolti hai

tu samajhdar agar hai to yahi kafi hai
tujhe kahti hai ki kya hai mujhe ji bolti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close