jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe udas nam khula dar pukarta hai mujhe kisi ki chap musalsal sunai deti hai safar mein koi barabar pukarta hai mujhe sadaf hun lahren dar-e-jism khatkhatati hain kanar-e-ab wo gauhar pukarta hai mujhe har ek mod mere panw se lipatta hai har ek mil ka patthar pukarta hai mujhe phansa hua hai mere hath ki lakiron mein mera huma-e-mqaddar pukarta hai mujhe na jaane kya tha ki main duriyon mein kho aaya wo apne pas bula kar pukarta hai mujhe chali hai sham-e-shafaq-rang baadban le kar dabiz shab ka samundar pukarta hai mujhe paron ka bojh jhatak kar main ud gaya hun 'nasim' zamin par mera paikar pukarta hai mujhe