phul honton ko ghazal-khwan dekhna mujh ko bahkane ke saman dekhna dekhna dil ke dar o diwar par chand chehron ka charaghan dekhna ghul-labon se ki hai main ne guftugu mere honton par gulistan dekhna zulf lahra ke mere dil mein zara khwahishon ka ek tufan dekhna us ko pa lena to phir meri tarah khud ko khud apna hi khwahan dekhna jalte rahna us ke gham ki aanch par dard ban jaega darman dekhna tujh ko jab chaha to 'bismil' ban gaya kitna dana hai ye nadan dekhna