phul jalte hain kahin barg-o-samar jalte hain fasl-e-gul aai hai baghon mein shajar jalte hain allah allah jabin-e-rukh-e-jaanan ki tapish aisa lagta hai ki ab shams-o-qamar jalte hain kya ghazab hai ki tere shahr mein ai jaan-e-ghazal jism-o-jaan zehn-o-nazar qalb-o-jigar jalte hain jis taraf dekhiye ek aag ka dariya hai rawan raste khun mein dube hain nagar jalte hain bujh chuka hun main magar ab bhi mere naqsh-e-qadam dekh lo ja ke sar-e-rahguzar jalte hain jin ke sinon mein farozan hai wafa ki shamen roz-o-shab jalte hain wo sham-o-sahar jalte hain aap jis shahr ko pur-amn samajhte hain huzur waqia ye hai usi shahr mein ghar jalte hain dafatan nind se main chaunk utha ai 'akhtar' main ne jab khwab mein dekha ki hunar jalte hain