ranj-o-gham deta hai ya dad-e-wafa deta hai dekhna ye hai zamana mujhe kya deta hai log ye puchh rahe hain tere diwane se kis ka diwana hai tu kis ko sada deta hai us ki azmat ko to ai dost khuda hi jaane kosne walon ko jo shakhs dua deta hai jaane kis soch mein duba hai masiha mera zahr deta hai mujhe aur na dawa deta hai aaj ye dekhne nikla hun ba-sad shauq-o-khulus kaun duniya mein wafaon ka sila deta hai tujh ko bhule hue ek umr hui hai lekin dil ka har zakhm tujhe ab bhi dua deta hai ab main is shahr mein rahta hun jahan ai 'akhtar' ek banata hai makan dusra dha deta hai