phul ka shakh pe aana bhi bura lagta hai tu nahin hai to zamana bhi bura lagta hai ub jata hun khamoshi se bhi kuchh der ke baad der tak shor machana bhi bura lagta hai itna khoya hua rahta hun khayalon mein tere pas mere tera aana bhi bura lagta hai zaiqa jism ka aankhon mein simat aaya hai ab tujhe hath lagana bhi bura lagta hai main ne rote hue dekha hai ali baba ko baz auqat khazana bhi bura lagta hai ab bichhad ja ki bahut der se hum sath mein hain pet bhar jae to khana bhi bura lagta hai