phul khilte hi kata shakh se aur mol bika lutf-e-hasti hai kali ko gul-e-tar hone tak safar-e-zist ki aakhir hai gharaz ghayat kya raaz khulta nahin anjam-e-safar hone tak tu hai aaghosh mein us ki tujhe ehsas nahin bebasi hai teri murshid ki nazar hone tak ya khuda kar na mujhe kaif-e-dua se mahrum ki duaen hain duaon ka asar hone tak par-e-parwaz nikal aae junhi niche gira aadam afsurda raha khuld-badar hone tak jag uthe to kahan aalam-e-nairang-e-khayal tabish-e-mahfil-e-anjum hai sahar hone tak