tujhe pa kar kabhi dekha nahin hai nahin malum tu hai ya nahin hai sabhi khush-fahmiyon mein mubtala hon koi tujh ko abhi samjha nahin hai qadam kyon aage badhte ja rahe hain agar ye rasta ghar ka nahin hai bahut come log hain pahchan wale yahan har jism mein chehra nahin hai kahan honge hamare khwab pure yahan jannat wahan duniya nahin hai jo apne shahar ko jannat bana de koi is shahar mein aisa nahin hai mile hain barha midhat se hum bhi wo achchha hai magar itna nahin hai