phul khushbu chand jugnu aur sitare aa gae aap kya aae khushi ke istiare aa gae yas ke gahre samundar se nikalna tha muhaal aap ne chaha umidon ke kinare aa gae apni sari nekiyan un ke hawale ho gain un ke sab ilzam lekin sar hamare aa gae band apna dar kiya jab ek amir-e-shahr ne meri khatir mere maula ke sahaare aa gae telewision dekh kar hone lage bachche jawan satwin mein un ko bhi baaligh ishaare aa gae bhar gai hain jholiyan dil ki muradon se 'munir' un ke dar pe jab kabhi daman pasare aa gae