yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak duba rahta hun khayalon mein bahut der talak nam se bhi mere waqif nahin hota koi wo jo rahte na hawalon mein bahut der talak jab bhi un galon ke girdab pe padti hai nazar gharq rahta hun khayalon mein bahut der talak muztarib rahti hain aahat pe chamak jati hain kaun rah pae ghazalon mein bahut der talak naghma-o-saz ki tasir tilsmati hai gunj rahti hai shiwalon mein bahut der talak fazl-e-rab jaan ke jab khata hun rukhi-sukhi lutf aata hai niwalon mein bahut der talak khubi-e-sher ke charche bhi rahe khub 'sahar' aap ke chahne walon mein bahut der talak