phul kuchle ja rahe the baghban chikha kiya ye zamin roti rahi wo aasman chikha kiya jo makan wale the sare be-khabar sote rahe raat bhar sadkon pe koi be-makan chikha kiya jitne zinda log the sab lash ban kar rah gae jab madad ke waste ek nim-jaan chikha kiya jaante the hum bhatak kar hi milengi manzilen apne hi raste chale phir rah-dan chikha kiya zahiran hum donon us ki jaan ke dushman hue wo jo rishta tere mere darmiyan chikha kiya jab uthai jaani thi aawaz zalim ke khilaf chup rahe ahl-e-zaban ek be-zaban chikha kiya lamha-e-hijran guzarne baad ye aalam raha wo kahin rota raha aur main yahan chikha kiya ye hua phir bant li yaron ne sari kaenat aur main tanha pas-e-sud-o-ziyan chikha kiya tum ko to 'afrang' aana hi nahin tha laut kar main tumhaara nam le kar raegan chikha kiya