palaT kar na dekhenge tumko dobara

palat kar na dekhenge tum ko dobara
chalo ab ye wada hai tum se hamara

main wo to nahin hun jo hota raha hun
magar ab na hoga wo hona gawara

kahin faeda to nazar hi na aae
jahan dekhiye bas khasara khasara

jo mitti mein milna hai sab ko yahin ki
to karte bhi kyon ho hamara tumhaara

hamein saf lafzon mein khul kar batao
samajhte nahin hum ishaara-wishaara

ye kya majra hai musibat hai kaisi
jahan jaen nazren wahin wo nazara

banao wo kirdar apna ki duniya
ye soche zamin par hai koi sitara

hamein apne upar bharosa hai pura
rakho pas apne tum apna sahaara

ki mushkil mein 'afrang' ye yaad rakhna
yaqinan samundar ka hoga kinara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close