phul mahke chamanistan mein jo khandan ho kar hum bhi sahra ko chale chaak-e-gareban ho kar ye bhi hai shumi-e-taqdir ki rah jate hain un ki mahfil mein mere qatl ke saman ho kar sham-e-hasrat mein jalao na hamein bahr-e-khuda aate hain bazm mein ek raat ke mehman ho kar gad gaya aur nadamat se pas-e-marg jo wo aa ke baithe meri baalin pe pasheman ho kar hum to gesu ko tere saunp chale hain dam-e-naza dekhen ab rahti hai kis ki shab-e-hijran ho kar mere nalon ki jo aawaz pahunch jati hai ghar se bahar nikal aate hain pareshan ho kar pahle jo haalat-e-wahshat pe hansa karte the ro rahe hain wahi ab chaak-gareban ho kar dil to wo le gae pahli hi nazar mein 'sayyaf' kya mudaraat karen be-sar-o-saman ho kar