phul ne murjhate murjhate kaha aahista se ho rahi hai mujh se khushbu bhi juda aahista se qurbaten thin phir bhi lagta hai hamare darmiyan aa ke hael ho gaya ek fasla aahista se ek muamma hai chaman se us parinde ka safar sham ko jo aashiyan se ud gaya aahista se rakh liya ziddi ana ne phir mere sar ka waqar uncha neze ki ani par kar diya aahista se bahte bahte jab rawani mein kami aai 'shahab' ret par sar rakh ke dariya so gaya aahista se