phul pe aa ke baithi to khud par utarna bhul gai aisi mast hui wo titli par phailana bhul gai aise khila wo phul sa chehra phaili sare ghar khushbu khat ko chhupa kar padhne wali raaz chhupana bhul gai kaliyon ne har bhanwre, titli se puchha hai us ka nam baad-e-saba jis phul ke ghar se laut ke aana bhul gai apne purane khat lene wo aai thi mere kamre mein mez pe do taswiren dekhin khat le jaana bhul gai barson baad mile to aisi pyas bhari thi aankhon mein bhul gaya main baat banana wo sharmana bhul gai sajan ki yaaden bhi 'khawar' kin lamhon aa jati hain gori aata gundh rahi thi namak milana bhul gai