phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi dil mein lekin aur hi ek shakl ki hasrat bhi thi jo hawa mein ghar banae kash koi dekhta dasht mein rahte the par tamir ki aadat bhi thi kah gaya main samne us ke jo dil ka muddaa kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi ajnabi shahron mein rahte umr sari kat gai go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi kya qayamat hai 'munir' ab yaad bhi aate nahin wo purane aashna jin se hamein ulfat bhi thi