mujh ko aashiq kah ke us ke ru-ba-ru mat kijiyo dostan gar dost ho to ye kabhu mat kijiyo jis ada ka kushta hun main wo rahe mere hi sath us ada ko mubtazil ai khub-ru mat kijiyo waqt-e-rukhsat dil ne itna hi kaha ro kar ki bas ab phir aane ki mere tu aarzu mat kijiyo main to yunhi tum se diwana sa bakta hun kahin us ke aage dostan ye guftugu mat kijiyo zulf ke kuche se ho gulshan mein guzre hai saba aaj wan ja kar gulon ko koi bu mat kijiyo kal ke jhagde mein bhala hai kis ke yaro haq ba-tarf wajibi jo ho so kahiyo meri ru mat kijiyo wan 'hasan' hargiz nahin hai dhil phir jaane mein kuchh aashnai par bharosa us ki tu mat kijiyo