phul us ka istiara tha kabhi rang-o-bu ko ek sahaara tha kabhi barishen kahti hain bita kal mera ye samandar para-para tha kabhi waqt ne ki ahmiyat kam waqt ki ye zara sa kitna sara tha kabhi chaar din bharpur ji aur phir bata kya guzare par guzara tha kabhi ab jo aaya hai main us se kya kahun main ne kis kis ko pukara tha kabhi aaj bhi jita hun bas ye soch kar us ne sab kuchh mujh pe haara tha kabhi chhut gaya sab kuchh par itna yaad hai kya nahin tha kya hamara tha kabhi kam-nazar har daur mein kahte hain ye kya nazar thi kya nazara tha kabhi aasra pata raha jitna 'amit' kya tu itna be-sahaara tha kabhi