yahi kahenge sabhi ghar ko ghar samajhte hain

yahi kahenge sabhi ghar ko ghar samajhte hain
ye jhut wo hai jise baam-o-dar samajhte hain

basa basaya koi is taraf to aata nahin
jo la-makan hain wahi dil ko ghar samajhte hain

main aise dasht-nawardon ko sath rakhta hun
kitab padh ke jo apna safar samajhte hain

ye aasman unhin sar-phiron se sar hoga
tasawwuraat ko jo baal-o-par samajhte hain

jo na-samajh hain uthate hain zindagi ke maze
samajhne wale to bas 'umr-bhar samajhte hain

shajar shajar se main leta hun mashwara har gam
wo chal na paen magar rah-guzar samajhte hain

'amit-bajaj' koi dar ko jit paya kya
wo kaamyab hain jo apna dar samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close