phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai dur kisi ne kuchh kaha phir mujhe nind aa gai abr ki ot mein kahin narm si dastaken huin sath hi koi dar khula phir mujhe nind aa gai raat bahut hawa chali aur shajar bahut dare main bhi zara zara dara phir mujhe nind aa gai aur hi ek samt se aur hi ek maqam par gard ne shahr ko chhua phir mujhe nind aa gai apne hi ek rup se taza sukhan ke darmiyan main kisi baat par hansa phir mujhe nind aa gai tu kahin aas-pas tha wo tera iltibas tha main use dekhta raha phir mujhe nind aa gai ek ajab firaq se ek ajab visal tak apne khayal mein chala phir mujhe nind aa gai