main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila saqi mere mizaj ka mausam nahin mila mujh mein basi hui thi kisi aur ki mahak dil bujh gaya ki raat wo barham nahin mila bas apne samne zara aankhen jhuki rahin warna meri ana mein kahin kham nahin mila us se tarah tarah ki shikayat rahi magar meri taraf se ranj use kam nahin mila ek ek kar ke log bichhadte chale gae ye kya hua ki waqfa-e-matam nahin mila