phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai hai dil mein wo gham jis ka koi nam nahin hai kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai aflak ke sae tale aisa bhi hai koi jo said-e-zabun maya-e-alam nahin hai chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat duniya mein musalman to hain islam nahin hai iman nahin momin ka mukafat-e-amal par ummid-e-karam kya tama-e-kham nahin hai masjid ho kharabaat ho ya ku-e-butan ho is qalb-e-tapan ko kahin aaram nahin hai ai mah-wisho lala-rukho wasl ki hum ko khwahish to hai be-shak magar ibram nahin hai kaifi hain mai-e-nab-e-khum-e-mehr-shuda ke hum ko talab-e-durd-e-tah-e-jam nahin hai lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qadir shaer nahin jo sahab-e-ilham nahin hai har baat hai 'khalid' mein pasandida o matbu ek pairwi-e-rasm-o-rah-e-am nahin hai