phulon ke ru-ba-ru tha sitaron ke samne wo shakhs jal raha tha hazaron ke samne main zat ke ghulam jazire mein qaid tha charcha meri ana ka tha yaron ke samne chehre bahut hasin the magar dil bahut udas manzar dhuan dhuan the bahaaron ke samne baaten hamare pyar ki shoala-bayan thin tinkon ke aashiyan the shararon ke samne phir us ka zikr tak bhi nahin tha shumar mein jo shakhs chal raha tha qataron ke samne ai chand mujh ko gahre samundar mein le chalo main dubne laga hun kinaron ke samne 'shabnam' kisi kali ke jigar mein qayam kar kyon gir raha hai waqt ke ghaaron ke samne