banjar zamin thi aur makan koi bhi na tha main us jagah basa tha jahan koi bhi na tha wahshat baras rahi thi jahan-e-kharab mein dil ko lubha sake wo saman koi bhi na tha sab se juda hua tha main jis ke yaqin par ho jaega juda wo guman koi bhi na tha tapti hui zamin pe barson chala hun main lekin mere qadam ka nishan koi bhi na tha hadd-e-nigah shoale ugalti rahi zamin hairat ki baat hai ki dhuan koi bhi na tha rah-e-wafa mein kharch hui 'shad' zindagi pas-e-mafad pas-e-ziyan koi bhi na tha