phulon ki barsat hui hai aur kuchh patthar aae hain

phulon ki barsat hui hai aur kuchh patthar aae hain
is basti mein hum diwane soch samajh kar aae hain

haq ne shayad baatil ki bai'at se phir inkar kiya
aaj suna hai bazaron mein nezon par sar aae hain

maikhane mein shaikh-e-haram ko dekha to maujud mile
kis mein dam hai puchh sake kyon aap yahan par aae hain

chand qadam par baith gae thak kar manzil ke shaidai
chehre se aisa lagta hai milon chal kar aae hain

sahra sahra ghum rahe the tabiron ke chakkar mein
bikhre hue sab khwab mile hain laut ke jab ghar aae hain

us ki ana ne pyas ke aalam mein marna manzur kiya
warna us ke honton tak khud khinch ke samundar aae hain

ghair-shuuri taur pe un ke lab pe mere ashaar rahe
khabar mili hai 'nazim' aise mauqa aksar aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close